Sthayi: Om Jai Lakshmi Mata, Maiya Jai Lakshmi Maata, Tumko nis din sevat, Hari, Vishnu vidhaata Om Jai Lakshmi Maata... Anthra 1: Uma Rama Brahmaani, Tum hi Jag Mata, Maiya Tum hi Jag Mata, Surya Chanramaa dhyaavat, Naarad Rishi gaata Om Jai Lakshmi Maata... Anthra 2: Durga Roop Niranjani, Sukh Sampati Daata, Maiya Sukh Sampati Daata Jo koyee tumko dhyaataa, Riddhi Siddhi paataa Om Jai Lakshmi Maata... Anthra 3: Tum paatal nivasini, tumhi shubh daata, Maiya tumhi shubh daata Karma prabhav prakashini, Bhav nidhi ke traata Om Jai Lakshmi Maata.... Anthra 4: Jis ghar mein tu rehti, sab sadgun aataa, Maiya sab sadgun aataa, Sab sambav ho jaata man nahi gabraata Om Jai Lakshmi Maata.... Anthra 5: Tum bin yagya na hove, vastra na koi paata, Maiya vastra na koi paata Khan pan ka vaibhav, sab tum se paata Om Jai Lakshmi Maata.... Anthra 6: Shubh gun mandir sundar, Kshirodadhi jaata, Maiya Kshirodadhi jaata Ratan chaturdash tumbin, koi nahi paata, Om Jai Lakshmi Maata.... Anthra 7: Maha lakshmi ji ki aarathi, jo koi nar gaata Urr Anand samaata, paap uthar jaata Om Jai Lakshmi Mata.... Jai Lakshmi Mata, Maiya Jai Lakshmi Maata, Tumko nis din sevat, Hari, Vishnu vidhaata
Om Jai Lakshmi Maata... Om Jai Lakshmi Maata... Om Jai Lakshmi Maata...
Collection by Mrs Uma ramana You can also be a member of this site by sending your recipes, house- hold tips interesting issues to [email protected]